Kya musalmano ka Hajj toheed ki alamat ha ya shirk ki ? Hajj k manasiq ma Toheed ka izhar kaisay ha

Hajj musalman k androoni ahsasaat sy shuru hota ha or us k baroni amal tk pohunch jata ha.

Hajj musalman k androoni ahsasaat sy shuru hota ha or us k baroni amal tk pohunch jata ha. Toheed Hajj ki bunyadi halat, uski manzil, manasiq, amal, ibadatain or duaon ma Zahir ha. Pus is ma koi ajab ki bat nahi ha k Maqbool Hajj ka sawab mazi k tmam gunaho ki maghfirat ha or abadi zindagi ma jannat. 

Yha hum darj zail cheezian seekhain gain:

Hajj kya ha?

Toheed ka kya matlab ha?

Hajj k manasiq ma toheed kaisay zahir hoti ha?

Hajj ka kya maqsad ha?

Is trha Hajj ka samr hasil kro!

Hajj kya ha?

Hajj Islam ka panchwa satoon ha. Hajj ka lafzi matlab “Safar ki neyyat”. To, Hajj jismani or rohaani safr ha muslaman ki dunyawi or abadi zindagi or Pak or khalis krny k maqsad sy. 

Islami Hajj Islam k sub sy zada amoomi fraiz ma sy ha jo in k darmayn akhri ha or ya hr sahb istaaat muslaman pr aik bar farz ha lakin phr Bhi wo jb chahay ikhtiayari tor pa kr skta ha Kay ap toheed or hajj k bary ma mazeed Janna chahaty hai?

Chalty rhain.

Toheed ka kya matlab ha?

Toheed ka matlab sirf aik Allah pa iman rakhna or sirf usi ki ibadat krna. Is ka tarjuma ha: la ilaha illa Allah. 

To, ya Muslaman honay ka dakhili rasta ha, jis ka bad paighambr Hazrat Muhammad (ap pa or apki aal pa slamti ho) pa akhri nabi ki hasiat sy iman laya jata ha.

Aham arabi lafz jis pa ap ko ghor krnay ki zarurat ha illah ha jis ka matlab (Khuda) ha. Is Arabi lafz ki bunyad ishara krti ha purkhaloos Muhabat, Azmat, Umeed or Khof sy ha. 

To, aik sacha musalman apni manzil ko apni khwahishat k sath sath dosro ki khwahishat sy Bhi azad kr data ha. 

Islam bunyadi tor pa toheed pa mabni ha is ka matlab ap k tmam kam Allah ki Raza k Lia hony chahiya ap is sachai ko many bina musalman nahi ho skty. 

Yaqeenan, Islam k tmam satoon işi maqsad ki trf hai: apni manzil ko yakja krna ya Allah (Wahid mabood) or us k Paighamber Hazrat Muhammad (ap pa or apki aal pa slamti ho) pa iman Lana ha Rozana panch waqt Allah k Lia nmaz prhna Allah ki Raza k Lia zakat Ada krna ramzan k rozay rakhna or akhir ma Hajj krna Makkah mukarma ha is safr ma toheed ka aks jhalakta ha.

Prhain: Kya muslaman kaba ki ibadat krty hai?

Hajj k mnasiq ma toheed kaisay zahir hoti ha?

Toheed Hajj ki bunyadi shart k tor pa Mnasiq Hajj ma waizha ha, Hajj k mnasiq ki jgah, Muqadas ghar ka bani, Ibraheam (ap pa slamti ho) or Hajj k doran prhi janay wali takbeerat.

1. Toheed Hajj krnay k Lia zaruri ha.

Paighambr Hazrat Muhammad (ap pa or apki aal pa slamti ho) ny In ilfaz k sath zor dia:

“‏ أَلاَ لاَ يَحُجُّ بَعْدَ الْعَامِ مُشْرِكٌ، وَلاَ يَطُوفُ بِالْبَيْتِ عُرْيَانٌ ‏”‏‏.‏

Rasool Allah (ap pa or apki aal pa slamti ho) k akhri hajj sy pehlay Jb Rasool Allah (ap pa or apki aal pa slamti ho) ny Hazrat AbuBakr (Allah ap sy Razi ho) ko Hujjaj k groh k leader bnaya, to Rasool Allah (ap pa or apki aal pa slamti ho) ny mujhy logo k aik groh k sath ailaan k Lia bhaija: ‘is saal k bad kisi kafir ko Hajj krnay ki ijazat nahi ha, or koi nanga Shakhs kaba ka tawaf nahi kr skta“.’

[ Sahih al-Bukhari 1622]

Mazeed ya, Islam ma khalis sirf Allah ki ibadat k ilawa kisi ibadat ki ijazat nahi ha. To, Hujjaj ki neyyat sirf Allah ki ibadat honi chahiya. Yaqeenan, yahi toheed ka Tasawur ha, yani, Sirf Allah ki ibadat, aik Sacha Khuda. 

2. Haji ki khas manzil khana kaba ha.

Muqadas ghar Makkah ma ha jo Zameen pa toheed ka nara ha. Ya musalmano k Lia nmaz ki simt Bhi ha jis k iman ki bunyad toheed ha, sub sy ahm, ya muqadas ghar Hazrat Ibraheam (ap pa slamti ho) ny bnaya tha Allah k hukam sy jo darj zail ayat ma dia gya: 

وَإِذْ بَوَّأْنَا لِإِبْرَٰهِيمَ مَكَانَ ٱلْبَيْتِ أَن لَّا تُشْرِكْ بِى شَيْـًۭٔا

“or ‘Yad kro’ jb hum ny Ghar ki jgah dikhai, ‘kha gya‘ “kisi cheez ko ibadat ma mara Shareek na bnao or mary ghar ko pak kro un k Lia Jo kaba ka twaf krty hai or nmaz ma qayyam krty hai or Raku or sajood krty hai.”

[Quran 22:2] (English ma tarjuma)

3. Paighambr Ibraheam, Toheed k Lia misali namona, Hajj k Lia pukarty hai.

Toheed Hajj k Lia jgah bnanay waly or Hajj k Lia pukarny waly rehnuma ki shakhsiat ma bohat waziha dikhai dati ha 

Allah k hukam ki itaaat krty huye:

وَأَذِّن فِى ٱلنَّاسِ بِٱلْحَجِّ

“Pukaro ‘tmam’ logo ko Hajj k Lia.”

[Quran, 22:27]

Kha jata ha k Hazrat Ibraheam ny Farmaya “aye mara Rub, ma ya sub logo tk apni Awaz kaisay pohunchau ga jb mari Awaz un tk nahi pohunchy gi “kha jata ha“ unhy pukaro or hum pohuncha day gain.” To Hazrat Ibraheam khary huye or pukara.” Aye Insaniat! Tumhary Rub ny apna ghar bnaya ha aao or uska Hajj kro.”

Yaqeenan, Paighamber Ibraheam (Ap pa slamti ho) paighambero k baap hai or musalmano, Yahoodio or Essaio k nazdeek un ka khas muqam ha, un ka aqeedah Toheed ha 

Jaisay Allah muqadas Quran ma farmaty hai:

مَا كَانَ إِبْرَٰهِيمُ يَهُودِيًّۭا وَلَا نَصْرَانِيًّۭا وَلَـٰكِن كَانَ حَنِيفًۭا مُّسْلِمًۭا وَمَا كَانَ مِنَ ٱلْمُشْرِكِينَ

“Abraheam yahoodi ya Essai nahi thy; unho ny khud ko sirat mustaqeem k Lia mukhtas kia or wo shirk krny Walay na thy.”

[Quran, 3:67]

4. Talbeeh toheed k inhmak ki tasbeeh ha Hajj ma.

Duao ma sy aik khas dua jo Hujjaj Talbeeh ma prhty hai:

فَلْيَرْفَعُوا أَصْوَاتَهُمْ بِالتَّلْبِيَةِ فَإِنَّهَا مِنْ شِعَارِ الْحَجِّ‏.‏

Rasool Allah (ap pa or apki aal pa slamti ho) ny farmaya:

“Gebrail mary pass aye or kha: ‘aye Muhammad (ap pa or apki aal pa slamti ho)! Apny sathio sy khain Talbeeh prhty waqt apni awazo ko buland kr lain, ya Hajj ki nishanio ma sy hai.’”

[Sahih sunan Ibn Majah 2923]

Talbiyah ya ha: 

Labbayk-Allāhumma labbayk, labbayka lā sharīka laka labbayk, inna ‘l-ḥamda, wanni`mata, laka wa ‘l-mulk, lā sharīka lak.

Talbiyah ka lafzi tarjuma: 

“ma apk hazur hazir hu, aye Allah ma ap k hazur hazir hu. Ma apki khidmat k Lia Hu, apka koi shareek nahi, ma apki khidmat ma hazir hu. Yaqeenan tmam tarefain apk Lia or tmam  rehmatain apki hai or apka ghalba ha apka koi shareek nahi ha.”

[Hadith by Bukhari & Muslim]

Yaha Arabic k ya ilfaz 

Labbayk-Allāhumma labbayk toheed k aqeeday ka izhar kr that hai:

  1.  Ma itaat krta hu or dobara Bhi itaat kru ga,
  2.  Ma apki itaaat ma mustaqil hu,
  3. Ma Allah sy sachi muhabbat krta hu,
  4. Ya Maray khaloos ka izhar ha,
  5. Ma Allah k nazdeeek Anay ki koshish ma hu.
  6. Ya Toheed ki alamat ha.

(Labbayak Allahymma Labbayk ka matlab, Islamqa.info 2003)

5. Tawaf or is sy juri hui ibadatain toheed ka izhar krti hai.

Tawaf ya Kaba k gird chakar lgana, chahain ya waha ki zyarat, pohunchay ya wapsi ka ho, Hajj ka aik mansaq ha jo toheed ka izhar krta ha:

طَافَ النَّبيُّ صلى الله عليه وسلم بِالْبَيْتِ عَلَى بَعِيرٍ كُلَّمَا أَتَى الرُّكْنَ أَشَارَ إِلَيْهِ بِشَيْءٍ عِنْدَهُ وَكَبَّرَ

Paighambr Hazrat Muhammad (ap pa or apki aal pa slamti ho) ny oonth pa baith k twaf kia, hr bar jb wo Hajr aswad waly konay k pass sy guzarty, wo apny hath ma pkri hui cheez sy us ki trf ishara krty or khty: Allahu Akbar (Allah sub sy bara ha)!

[Al-Bukhari]

Mazeed, Twaf k bad jb insan muqam ibraheam k pass 2 rakaat nafal Ada krta ha to ya Bhi toheed ka izhar ha, agr mumkin ho. Agr mumkin na ho to wo muqadass masjid ma kisi or jgah pa ya nafal Ada kr skta ha. Is namaz ma, naseeeaht ki jati ha k surab ikhlass (ikhlass) or surah Kafeeron (Kafir) ki tilawat kray ta k muslaman khud ko toheed ka sabq yad kra sky, jo ha 

Khalis twajah Allah k lia, or is bat ka yaqeen k uski ibadat bina kisi shareek k ki jaye.

Mazeed, agr twaf krnay wala muslaman Hajr Aswad ko chooom sky, to naseehat yahi ha k wo choom lay ya Bhi Allah ki itaaat or khalooos ki he nishani ha:

وَإِنِّي لَأَعْلَمُ أَنَّكَ حَجَرٌ مَا تَنْفَعُ وَلَا تَضُرُّ وَلَوْلَا أَنِّي رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يقبل مَا قبلتك

‘Abis bin Rabi’a farmaty hai unho ny daikha ‘Hazrat Umar ny Hajr aswad ko choooma or kha, “ma Janta hu tum sirf aik pathr ho jo na nafa dy skta ha na nuqsan, or agr ma ny Paighambr Muhammad (ap pa or apki aal Pa slamti ho) ko tumhy choomty huye na daikha hota ma tumhy kbi na chooomta.”

[Mutafiq alah]

6. Safa or Marwa k darmyan ki janay wali Sai bhi Muslmano ko toheed ki yad dilati ha.

Safa or Marwa ki phario k darmyan saat chakar bhi toheed ki yad dilatay hai:

A. Hajio ko wohi duain dohrany ki naseehat ki jati ha jo Paighamber Hazrat Muhammad (ap you a or apki aal Pa slamti ho) ny mangi:

Jb Bhi paighambr Hazrat Muhammad (ap pa or apki aal pa slamti ho) Safa phari k pass aaty: wo ya prhty:

Yaqeenan Safa or Marwa Allah ki nishanio ma sy aik ha. Ma usi sy shuru krta hu jis sy Allah ny kia . 

Ap ny Safa phari pa chrhna shuru kia yha tk k ap ny Baitullah ko daikha. Phr unho ny apna Rukh qibla ki janib kia or ya ilfaz duhraye: Allah k siwa koi ibadat k laiq nahi or Allah sub sy Azeem ha ….”

 [Muslim 2/888.]

B. Hazrat Hajra ki koshisho ki yad ma, Paighamber Hazrat Ibraheam ki BV, jinho ny apna pura yaqeen Allah pa rakha pani ki talash k doran sehra ma apny bachy ko bachany k Lia.

Is tahreer ko Prhain agr ap Hazrat Hajra or un k Batay Hazrat Ismael (Allah ki slamti ho) ki khani ko Janna chahaty hai): Islam ma Paighamber Hazrat Ismael ki mukamal khani- Mukamal rehnumai

7. Arafat ka din  Toheed k izhar ka sub sy behtreen din ha.

Arafat ka din muslamano k Lia khas din ha “is din sy zada kisi or din ma Allah insano ko jahunum ki aaag sy nijaaat nahi data.” paighamber Hazrat Muhammad (ap pa or apki aal pa slamti ho) Arafat k din k fzail in ilfaz k sath byan ki:

“Afazal Tareen dua Arafat k din ki ha jo sub sy behtr dua jo mujhy sy pehlay Ambia ny ki: Allah k siwa kisi ko ibadat ka haq nahi siwaye akalay Allah k, Jin ka koi shareek nahi. Wohi ghalib hai or tmam tareefain unhi k lia hai, or wo hr cheez pa qadir ha.”

[Al Tirmazi. Al – Albani sahi k darjay ma ha Sahi Al Tirmazi 3/184]

8. Jamarat pa rami krna (pathr phainkna) ya azeeem Allah ki zikar k lia ha.

Hajji shaitan ko pathr mar kr uski tazleel krty hai or hr bar pathr marty waqt Taqbeer buland krty hai.

Mazeed, Paighamber Hazrat Muhammad (ap pa or apki aal pa slamti ho) Hajj is is mansiq ka Maqsad byan farmaya ha:

“‏ إِنَّمَا جُعِلَ رَمْىُ الْجِمَارِ وَالسَّعْىُ بَيْنَ الصَّفَا وَالْمَرْوَةِ لإِقَامَةِ ذِكْرِ اللَّهِ ‏”

Paighamber ny farmaya: “Jamarat pa pathr marnay or safa Marwa ki sai krna sırf Allah ki yad or zikar buland krnay k lia ha.”

[jamia tairmadi ma ya Hadith sahi darjay ki ha]

Hajj ka maqsad kya ha?

İslami Hajj ka bunyadi maqsad musalmano ko tyar krna ha aik manzil k lia sirf apny khaliq ki trf (Tawheed) iman ka bunyadi nuqta.

Hajj ka bunyadi maqsad un logo k dilo ma jo Hajj krty hai Toheed ko mazboot kia ja sky or un k tmam gunah maff kia jaye:

Rasool Allah ( ap pa or apki aal pa slamti ho) ny farmaya , “Jo Bhi Hajj kry or apni BV k sath jinsi taluq na bnaya, na gunah kray, to wo gunaho sy aisay pak ho jata ha jaisay uski Maa ny jis din usay paida kia tha.”

[Mutafiq hai]

Mazeed, hajj k mqasid ma sy aik Allah k ajr ki talash apni itaat or farmanbardari k badly bhi ha, or Allah ki khushnoodi bhi. Dosry lfzo ma, Hajj Allah ki yad k Lia ha, taqway k hasool k lia. Ya wo ha jo Hajji bardasht krny k lia ata ha.

Mukhtasiran, Hajj Allah ki mukamal itaat or farmabardari ki alamat ha. Or musalman ki zindagi ka ahm mor.

Hajj k bary ma mazeed Janna k Lia is tehreer ko Prhain: Kya, kb, kha, kaisay or kyu?

ISI trha Hajj ka samar hasil kro!

Akhir ma, kya ap Bhi Hujjaj ki trha ajar hasil krna chahty hai? Mary pass ap k Lia khush khabri ha!

Ap k pass aik sumehri moqa ha Toheed k ilfaz khny ka or musalman ho jany ka, ap apny khaliq k qareeb hai, or seedhy rsty pa pohunch chuky hai rehnumai k sath; wohi hujaj wala ajr. Intzar kis ka ha? Hmary log ap ki madad kr skty hai. Abi musalman ho Jain. Zindagi bohat mukhtasir ha!

Any bhaasha:

English Portuguese Español Français русский

Share

Leave a Comment