Aik mukamal rehnumai
Islam ma shahdat ap ka musalman honay ka darwaza ha
Dunia ma mukhtalif mazahib ma mukhtalif maloomat li jati qabool krnay sy pehlay
Kuch ma rasoomat hai, shuruaat hai, baptisma ha or kuch ma bilkul mukhtalif ha
Or kuch makhsoos nasal k log he unka hisa bn skty hai
Islam ma Aisa kuch nahi
Sachai pa iman lany k lai
Sirf is bat ka iqrar krna hota ha k Wo sachai pa iman lay aye
Ya he shahdat ha wo ilfaz Jin sy koi bhi muslaman ho skta ha.
Hum yha darj zail cheezain seekhain gain:
- Shahadat Kya ha?
- Shahdat ka kya matlab ha?
- Shahdat k 5 bunyadi fawaid
- Kya shadat ko awam ma krna chaiya?
- Kya Shahadat k lia koi khas jgah mukhtas ha?
- Shahadat Arabic ma kyu ha?
- Shaahada kyon mahatvapoorn hai?
- Shahdat ki 7 shartain
- Shahdat ko zuban sy ada krny sy Kya murad ha
- Shahadat dany k bad Kya krty hai?
- Shahaada lene ke baad kya karen?
- Kya ap ny apni Shahadat ada ki?
Shahadat Kya ha?
Shahadat aik arabi ka lafz ha
Jis ka matlab gawahi dana ha
Shahadat ka matlab gawahi dana k Allah k ilawa koi khuda nahi or Hazrat Muhammad (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) Allah k akhri nabi or Paighamber hai
Shahadat islam ma dakhil hony ka darwaza ha
Shahadat k khny sy koi islam ma dakhil hota ha
Is k kisi b hissay sy inkar insan ko ghair muslim bna data ha
Arabi ma Shahadat (Kalima Shahadat):
أشهد أن لا إله إلا الله وأشهد أن محمدا رسول الله
Shahadah Transliteration:
Ash-hadu An La illaha illa Allah, w ash-hadu Ana Muhammadan Rasul Allah.
Shahadat ka tarjuma:
Ma gawahi data hu Allah k siwa koi khuda nahi ha or Muhammad (ap pa or apki aaal pa slamti ho) Allah k paighamber or Rasool hai.
(ya 24 seconds ka basri paigham ha jo Shahadat khny ka tareeqa seekhaye ga)
How to Say the Shahada & Embrace Islam
Is basri paigham ko YouTube pa daikhain.
Shahadat kis pa mushtamil ha?
- Allah or un k paighamber ki tareef or Allah or usk Paighamber ki itaat
- Allah k siwa hr mabood ka inkar krna
- Or Allah ki itaat us k paighamber k rasty k ilawa sub ki itaat sy inkar.
Shahadat aik yaqeen dhani ha k tmam insaniat ka aik he khuda ha usi ny zameen or asman bnaye hai or jo kuch in k darmyan ha
Us ny tmam Paighambero ko bhaija ta k wo insaniat ko apny Rub ki yad dila sky or un k paida krny ka maqsad bta sky
Us ny Adam, Noah, Ibraheem, Musa, Essa or Akhir ma Hazrat Muhammad (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) ko bhaija.
Usi ny tmam cheezon k joray bnaye Lakin khud Al-Ahad Allah ka aik siffati nam
Bilkul akala or munfarid
Kho: Allah ahad ha (sirf aik) Allah baniaz ha (sub sy azad or hum sub usi pa inhsar krty hai)
Na is ny kisi ko jana na wo kisi sy jana gya or uska koi shareek nahi
[Quran 112]
Isay bhi prhain:
- Islam Kya ha ? Aik sada or asan rehnumai ghair muslimo k lia
- Aik jamia rehnumai muslaman hony k lia
- Islam qabool krain A sy Z tk
Shahadat k 5 bunyadi fawaid
- Ap haqeeqat ma aik no zaida bachy ki trha pak, baghair kisi gunah k G ha aik bar Jb ap ny Shahadat Bol Di Ap k peechlay tmam gunah chotay or baray seedhy maaf kr dia jaye gain to Mubarak ho naye janm ki!
- Ya ap ko aajzi seekhata ha madad krta ha ya smjhny ma k sirf Allah he khuda ha Ap us k bandy hai ghulam hai ibadat guzar hai Ap us pa iman laye hai us ka hukam jo k us k lamutnahi hilm pa mabni ha manty hai Wo ap ki madad krta ha hifazat krta ha shifa data ha bina kisi hisab k.
- Allah k osaf, or namo k ilm islam ka maghz hai ap jitna apny khaliq k bary ma janain gain Ap utna qareeb ho jaye gain.
- Allah k Paighambero ka ilm or un k safr ap jo roshni daty hai or apni zindagi is k mutabiq chalana ki sohbat Mushkilat k bawajood sabr seekhata ha.
- Jb hum Quran prhty hai hum peechly 2 Shahadat l tasawurat ko mazboot krty hai.
Kya Shahadat ko awam ma krna chahia?
Ya bilkul zaruri NAHI ha k ap k paros ma masjid ho ya masjid ma Apna qabool islam ka ailan ho!
Agarcha ap k nazdeek masjid na ho ya ap kisi waja sy masjid na pohunch skain is ka islam qabool krny ka musalman hony sy koi taluq nahi
Ya Bohat Acha hota! Agr ap nahi pohunch sky Phr bhi ap islam qabool kr skty hai muslaman ho skty hai masjid k baghair!
Ya bhi prhain: Ma muslaman hona chahta hu Lakin ma darta hu or mujhy Bohat si mushkilat hai
Kya Shahadat khny k lia koi makhsoos jgah ha?
Nahi, ap ko kisi khas jgah pa hony ki zarurat nahi , na he musalman hony k lia kisi pacheedah amal ki zarurat ha
Bunyadi tor pa, ya Bohat asan or qudrati ha .
Jaisay , Allah pehly sy he ap ko daikh rha ha or ap k dilo dimagh ko sunta ha
Wo Bohat nazdeek ha, sub kuch sunny or daikhny wala
Agr apka iman ha to Ap ko seedha Shahadat khna ha or wo qabool krta ha .
Jb ap krty hai to ap muslaman ho jaty hai
Phr hum seekhty hai or ahista ahista brhty hai.
Shahadat arabi ma kyu ha?
Shahadat ko haqeeqat ma Arabi ma nahi hona chahia
Muslaman hony k lia arabi ma khna zaruri nahi ha
Apni he zuban ma khna kafi ha agr tmam zaruratain puri ho
Lakin Arabi ma khny ki talqeen ha tmam bunyado ko pura krny k lia
Jaisay k paighamber (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) ny arabi ma kha.
Arabi Paighamber Hazrat Muhammad (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) ki zuban thi or Quran bhi Arabi ma ha ,
Hata k agr is ka tarjuma bhi kia jaye to Allah ka mojzati ilfaz ko smjhny k lia Arabi zuban ka seekhna zaruri ha
Arabi muslamano k lia zaruri ha
Allah ny is ko malhooz khatir rakha or isay asan kr dia k us k qareeb is k baghair ho jaye agr koi isay na seekh sky
Lakin is ki Bohat yaqeen ha k islami rewayat ko smjhny k lia isay seekha jaye.
Shahadat kyu ahm ha?
Shahadat Bohat sari wajoohat k lia zaruri ha:
- Ye islam ki shahdat iman ka ilan hai mukamal numaindgi karta hai or is tarha khara hai jaisa k ye pegamber or in se Pehly tamam rasoolon ka pegam hai
- Shahdat khuda par Khalis ahteqad ki numaindgi karta hai , is ki mukamal o Wahdaniyat ,or ye k sirf wohi ibadat k laiq hai_or uski ibadat sirf us k nabion or usk rasoolon ki pervi se ki ja skti hai_
- Shahdat islam ka bunyadi, is ka sang e buniyad ,or wo sitara hai jo muslamano ko galat mutazad aara or qiyas araioon k samandur me Allah k sidhy rasty ki hifazat ki taraf rehnumai karta hai
- Shahadat asbat or inkar Dono hai Allah ka asbat, or Allah k siwa kisi dusry mabood ka inkar_
- Shahdat islam ka darwaza or jannat ki kunji hai:
Allah pak ha – wo hr us shakhs ki zamanat data ha jo khta ha k Wo jannat ma jaye ga yha tk k wo buri zindagi guzarta ha jis ki waja sy usay jahanum ma jana prta ha to ya aik Acha amal is bat ki zamanat data ha k isay hmaisha jahanum ma
Nahi rhy ga un logo k baraks jo iska inkar krty hai
Rasool Allah (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) isay nijat ki shart qarar daty hai:
مَنْ مَاتَ وَهُوَ يَعْلَمُ أَنَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ دَخَلَ الْجَنَّةَ ” .
(Sahih Muslim)
“ jo shahkhs is haal ma foot hua k us ka mukamal iman tha k Allah k siwa koi mabood nahi wo jannat ma jaye ga.
Aqeeda ma ya bhi shamil ha k is bat ka aitraf krna k aik seedha rasta ha jo humain zindagi ma aagay brhny ma madad data ha or humain hmary khaliq k sath milata ha
- Kyu k wohi sub kuch jannay wala hmary lia chahta ha
- Shahdat ka dosra hissa Allah k Rasoolo pa iman ha:
Is ka matlab Allah k paighamber k hukam k bina kisi ki bhi itaat or ibadat na krna
Paighamber Hazrat Muhammad (ap pa or apki aaal pa slamti ho)
Dosry ilfaz ma, Allah k Rasool ki itat usi trha jis trha wo Allah ki itaat or ibadat krty hai
Isi trha sy bator muslaman ap ko bhi Allah ki itaat or ibadat krni chaiya.
Shahadat ki 7 sharait
Shahdat sirf khali ilfaz nahi hai jo jadu sy humain maghfirat or jannat dila day !
Shahdat ki kuch lazmi sharait hai kisi ko muslaman krnay k lia
Usay maghfirat dilany k lia
Jannat, is zindagi ki or abdi zindagi ki khushio ki kunji
To in sharait pa tawajah dain or unhy pura krain aik Fateeha bnnay k lia.
- Ilm
Pehli shart ilm ki ha jo jhalat ka ulat ha. Ilfaz ka tarjuma janna zaruri ha us shakhs k lia jo unhy prhta ha.
Baghair matlab or smjhny k unhy prhna aisay e hai Jaisay na prha jaye
Allah ny is halat ko aisay byan kia ha:
فَاعْلَمْ أَنَّهُ لا إِلَهَ إِلاَّ اللَّه
[Quran, 47:19]
“or jan lo Allah k siwa koi khuda nahi”
2. Qabool krna
Dosri shart qabool krny ki ha jo k inkar krnay ka ulat ha
Wo jo Shahadat daty hai, us k matlab ko janty hai Phr bhi usay qabool krny ki neyyat nahi rakhty (usay sirf misal k tor pa khty hai) ya yaqeenan kargar nahi hai
Shahdat ko inkar k baghair khna chaiya
Allah farmaty hai:
وَمَا يَجْحَدُ بِآيَاتِنَا إِلا كُلُّ خَتَّارٍ كَفُوٍر
“or hmari nishanio ko koi nahi jhutlata siwayeKhyanat krny walo or nashukry k.”
[Quran, 31: 32]
3. Yaqeen
Teesri shart yaqeen ki ha
Jo shak ka ulat ha
Shahadat ko janna
Or isay qabool krna or bina kisi shak k dil sy qabool krna
Aik musalman hony k lia yaqeen ki talwar k sath hr shak ko kat dana or ghair mytazalzil yaqeen ap k ilfaz ma jo ap ada kr rhy ho
Allah farmaty hai k paighamber apny logo ko Allah k kalam ma bina kisi shak k yaqeen ki talqeen krty hai:
أَفِى ٱللَّهِ شَكٌّۭ فَاطِرِ ٱلسَّمَـٰوَٰتِ وَٱلْأَرْضِ
[Quran, 14: 10]
“Kya Allah k bary ma koi shak ha , jo zameen or asman ka paida krny wala ha?”
4. Khaloos
Chothi shart khaloos ki ha
Jo munafqat ka ulat ha.
Dil ka khaloos aik ahm shart ha mun sy nikalnay waly ilfaz k lia
Wo jo dil sy yaqeen nahi rakhty or sirf zuban sy ada krty hai wo sirf khud ko bawaqoof bna rhay hai
Jb k Allah janta ha jo in k dilo ma ha
Allah pak ga usay dhoka nahi dia ja skta:
Allah farmaty hai:
إِلَّا ٱلَّذِينَ تَابُوا۟ وَأَصْلَحُوا۟ وَٱعْتَصَمُوا۟ بِٱللَّهِ وَأَخْلَصُوا۟ دِينَهُمْ لِلَّهِ فَأُو۟لَـٰٓئِكَ مَعَ ٱلْمُؤْمِنِينَ ۖ وَسَوْفَ يُؤْتِ ٱللَّهُ ٱلْمُؤْمِنِينَ أَجْرًا عَظِيمًۭا
“Siwaye un logo k jo toba krty hai, apni islaah krty haiAllah k lia Roza rakhty hai, or Allah k mazhab k sath wafadar hai
Wo momineen k sath ho gain
Or Allah momeeneen ko bara ajr ata kray ga.”
[Quran, 4: 146]
- Imanat dari
5 shart imandari ha jo k jhoot ka ulat ha or Allah imandari ko azmata ha. ya un ki kitab ma wada ha wo sirf imandaro ko qabool krta ha Wo humain achay or buray sy azmata ha or iman walo ko jhoto sy alehda kr data ha
Allah imandari ki ahmiat pa zor daty huye farmaty hai:
فَلَيَعْلَمَنَّ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ صَدَقُوا۟ وَلَيَعْلَمَنَّ ٱلْكَـٰذِبِينَ
“Allah yaqeen imandaro ko janty hai or Allah yaqeenan jhoto sy waqif hai.“
[Quran, 29: 3]
6. Muhabbat
Chatti shart muhabbat ha jo o nafrat ka ulat ha
Aisay log hai jo sachai ko janty hai Phr bhi us sy nafrat krty hai
Allah ki muhabbat, us k Paighambero sy un k paigham sy muhabbat Bohat he ahm shart ha muslaman honay k lia
Wo Jin k dilo ma nafrat ha un k amaal zaya ho chukay Jaisay kbi huye e nahi thy!
Allah ny Ba-Iman logo k amal k zaya hony ko yu byan kia ha:
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمْ كَرِهُوا۟ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأَحْبَطَ أَعْمَـٰلَهُمْ
“Kyu k usay jo Allah ny utara wo nafrat krty hai is lia Allah ny un k amal zaya kr dia.”
[Quran, 47: 9]
- Itaat
Satvi shart itaat ha jo k lailmi ka ulat ha
Ilfaz ko is neyyat sy khna amal ka irada na hona bilkul waisa he ha Jaisay k na kha jaye
Aik muslaman ko apni puri koshish krni chaiya Allah or is k Rasool k li itaat ki
Mun k ilfaz jism sy kia gaye amal k mutabiq hona chahiya
Amal k baighar qol baikar ha
Allah ny itaat k hukam dia ha ta k bacha ja sky:
“وَأَنِيبُوٓا۟ إِلَىٰ رَبِّكُمْ وَأَسْلِمُوا۟ لَهُۥ”
[Quran, 39: 54]
“or Allah ki trf {toba} k sath lot jao ta k bach sako”
Shahadat khny ka kya matlab ha?
Shahadat ya iman ki gwahi, is ka asan tareen tarjuma Allah ki brai or us k ahkam byan krna ha , or us k Paighambero ki tareef or un ki itaat ha
Or Allah ki siwa tmam maboodo ka inkar ha
Or Allah k siwa hr kisi ki hr qism ki itaat ka inkar ha
Phr shahdat 2 rukh waly sikay ki trha ha
Aik rukh Allah ki shan ka byan ha or dosra rukh Allah k siwa hr qism k mabood ka inkar ha.
Ya Shahadat k pehlay hissay k mutaliq ha
Dosra hissa Allah k Paighamber pa iman ha
Jis ka matlab ibadat ki koi bhi aisi qism jo Paighamber Ap or apki aal pa slamti ho sy sabit na ho wo jaiz nahi na ki jaye
Paighamber (Ap Pa or apki aal pa slamti ho)
Dosry ilfaz ma Allah k Rasool ki itaat ma usi trha Allah ki ibadat ki jaye Jaisay ap ny ki
Is trha sy muslaman ko Allah ki itaat or ibadat krna chaiya.
Shahadat khny k bad Kya krna chaiya?
Shadat or islam qabool krnay k bad mustahib amal ya hai
- Ghusal kia jaye or saaf kapray pehn lia jaye.
- Phr 2 rakat nafal( jo farz nahi ) ada kia jaye to in amal ko krna na bhoolain Jb b ap kr skain!
[Tippani: Agr ap pa qarz ha , ap ko qarz ada kr dana chaiya. Allah hmary gunah maaf krain, Lakin humain logo k haqooq ka khyal krna chaiya agr hum kisi k daindar hai to humain imandari or aitbar k sath ada krna chaiya].
Nateeja- Kya ap ny Abi tk Shahadat nahi Di? :))
Jb Ap islam qabool krain gain, ap ko dunia 1.8 Arab behn bhai isi rsty pa chalty huye milain gain or un ma sy Bohat sy log dil o jan sy ap ki madad krny k lia tyar milay gain
Jaisay Allah farmaty hai:
وَٱلْمُؤْمِنُونَ وَٱلْمُؤْمِنَـٰتُ بَعْضُهُمْ أَوْلِيَآءُ بَعْضٍۢ
(Quran 9:71)
““Iman walay Mard or iman wali ortain aik dosry k itahadi hai…”
Hawala:
Ap islam ma Paighamber Hazrat Muhammad ( Ap Pa or apki aal pa slamti ho) or Hazrat Essa k bary ma neechy dia gaye rabto sy prh skty hai:
- Muhammad: Allah k paighamber
- Paighamber Muhammad: ap ko in k bary ma janna chahiya!
- Paighamber Hazrat Muhammad (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) ki zindagi k mamoolat
- Hazrat Essa or Hazrat Marriam ki khani Quran Pak ma
- Essa: Allah k paighamber
अन्य उपयोगी संसाधन
- islamqa.info/hi
- Rasoulallah.Net/he
- Knowingallah.Com/hi
- Guidetoislam.Com/hi
- islam-hindus_hindi
- निःशुल्क ई-पुस्तकें
Ya tahreer darj zail zubano ma Mojood ha: