Islam Kya ha? Aik asan or sada rehnumai ghair muslimo k lia

Kya ap soch rhy hai islam Kya ha or muslaman kaisay hoty hai? Kya ap k dil ma

Kya ap soch rhy hai islam Kya ha or muslaman kaisay hoty hai? Kya ap k dil ma muslaman hony ki khuwahish ha?

To ya bohta khoobsoorat ha.

Islam Kya ha?

Islam k bary ma taaruf:

Islam wohi Paighamb ha jis ki shuru sy tmam Paighamber taleem day rhay hai

Islam koi naya mazhab NAHI ha.

Haqeeqat mai, tmam Paighamber Adam sy lay kr, Nooh, Musa, Essa or Hazrat Muhammad (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) sub musalman thy. apny khaliq ki itaat mai jis ny unhy bhaija.

Ya bhi prhain:

  • Ap mukhtasir rehnumai muslaman honay k lia : Islam ko qabool krna A sy Z tk
  • Islam ma shahdat Kya ha?-aik mukamal rehnumai

Allah ny humain kyu bnaya?

 Allah sub sy azeem ny humain ya janchnay k lia bnaya kon mukhkis ha or kon nahi.

Mazeed ya, hum my seekhny or chunnay ki salahiat ha.

Yahi intekhab hmary ikhlas ka saboot ha. Kyu k hum nafarmani bhi kr skty hai Lakin hum us ka intekhab bhi kr skty hai, or un ka intekhab sub sy upper hr cheez Pa saboot ha hmary khaloos, muhabbat or iman ka.

Isi k mutabiq wo abdi jannat ata kray ga jis ma hum hmaisha jo kuch chahain gain hasil kr sky gain Phr kbi bhi kam kia baghair

Humain sirf is mukhtasir si zindagi Ma puri himat k sath is k rasta pa chalna ha.

Islam ma ahkamat kyu hai?

Kisi bhi nizam ki trha, islam bhi ahkamat rakhta ha

Darj zail ma wajoohat hai:

  • Zarurari ha, islam ma hr cheez ka maqsad ha. Ya koi idhr udhr k ahkamat nahi. Phr bhi, itaat krain or yaqeen rakhain apny khaliq ki Danish pa.
  •  Ahkamat humain aik khas rsty pa brhny ma madad daty hai 
  • Wo Allah sy jurny ma madad krty hai 
  • Ahkamat humain khud ko janna my ma madad daty hai.

Islam ma muqadas tehreer konsi ha?

  1.  Quran; mazhab ki muqadas kitab.
  2. Sunnat; Paighamber Hazrat Muhammad (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) k farmoodat.

Paighamber Hazrat Muhammad (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) farmaty hai:

Ma tumhary darmyan 2 cheezain chor rha hu. Jb tk tum unhy thamay rakho gay, tum ghalat rah pa nahi jao gy. Wo Allah ki kitab or us k Rasool ki sunnat ha.”  

[Muwtta Malik]

Islam ki muqadas kitab konsi ha?

Islam ki muqadas kitab Quran ha . Bashak, Quran islam ki bunyad ha. To, agr ap haqeeqi such k mutlashi hai or Islam ko smjhna chahty hai , ap ko Quran prhna chahiya.

Agr Quran ma kuch Aisa ha jo ap smjh nahi paa rhy, ap ki aalim ya tafseer ka mutalia kr skty hai

Misal k tor pa, prhny ki koshish krain Tafseer e Sadi daikhain Quran ki hafta war basri paigham YouTube pa, or Nouman Ali Khan ko sunain Lectures/ Bayyinah Podcast.

Quran k bary ma mazeed, prhain:

Sunnat Kya ha?

Sunnat Paighamber (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) ki taleemat hai. Ikhtiar ma Quran k bad dosra darja ha. Taqreeban 25,000 ahadith ka majmooa mojood ha.

Insani zindagi ka koi Aisa hissa nahi ha jo Paighamber (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) jis pa bat na ki ho.

Sahi Bukhari or Sahi Muslim Dono sub sy zayada qabil e bharoosa kitabian hai

Ya bhi prhain:

Islami shariat ka qanoon Kya ha?

Islami sharai qanoon wo qanooni nizam ha jo Allah ny insani zindagi k hr pehlu ka ahata krta ha ta k wo aik khushgawar zindagi guzar sky or akhirat ma bhi. Ya Quran or Paighamber (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) ki Sunnat sy mehroom ha

Islam k arkan konsay hai?

Islam k 5 arkan hai, hr koi jo muslaman hona chahta ha ittaat krta ha. Ya rozmara k amal k mutabik ha

Islam k 5 arkaan ya hai:

  •  Shahadat dana (iman ki gawahi),
  • Namaz,
  • Zakat,
  • Ramadan k rozay
  • Or Hajj.

Islam ma nmaz Kya ha?

Salah (Namaz) Allah sy Rabta ka tareeqa ha. Or Allah rozana hmari madad krna chahta ha or rozana rehnumai krna chahta ha us zindagi ma jo us ny humain di.

To hum in khoobsoorat nmazon k zaria bat krty hai, din ma 5 bar p hum badshah sy bat krty hai or un ki muhabbat, Roshni or sakoon hasil krty hai

Mazeed ya hum yad rakhty hai

Hum Badshah k he hai or usi k pass lotaye jain gain.

Yaqeenan, agr ap is bary ma sochain, ya un ki azeem sakhwat ha ! Bashak, or kon chahy ga k ap rozana din ma 5 bar jain or wo ap ko sunay

Siwaye hmary azeem or Raheem khaliq k jo hmari faryad sy kbi nahi thakty?!

Islam ma zakat Kya ha?

Zakat ghuraba ki madad k lia choti si raqam sadqa krna .

Ya “ Salana “ hoti ha

“Zakat” lafz “Pak krna” sy nikla ha Kyu k ya hmary mall or dilo ko Pak krta ha dosro ko dany sy.

Islam ma Hajj Kya ha?

Islam ma Hajj sirf us pa farz ha jo jismani or mali istataat rakhta ho

Tmam muslaman aik sirf aik Allah ki ibadat k lia mukhtalif rang o nasal k honay k bawajood aik he jgah pa ikhaty hoty hai

Ya yad krwana k lia k wo sub Allah k lia barabar hai sub he trha sy aye hai or sub ko Allah ki trf he lot k jana ha

Ya bhi prhain:

Islam ma (Rozay) Kya ha?

Akhir ma, musalman Ramadan ma (rozay) rakhty hai , Qamri saal ka aik

Maheena , Taloo e Aftab sy lay kr gharoob e Aftab tk [agr koi sehat k mamlat ho to chora ja skta ha].

Roza rakhny ki Bohat si wajoohat hai Allah ki itaat k ilawa:

  • jismani nazm o zabt
  • Apni rooh ko mehsoos krna
  • Or apni jismani zarooriat pa zabt krna
  • Apni roohaniat pa tawajah krna.

Ya bhi prhain:

  • Ramadan Qurani ayaat or ahdees Arabic or English ma
  • Ramadan k qawaneen Ghair muslimo k lia 2023- Ramadan k zabty or khushian
  • 2023 ka Ramadan Kya hair kb ho ga ? – Muslaman or Ghair Muslamano k lia rehnumai

Kya agr ap Allah sy maghfirat chahty ho?

  Haqeeqat ma, ap unhy hmaisha pass or Bohat zada maff krny wala paye gain.

Azeem Allah Hadith Qudsi k zaria farmaty hai (Muqadas Hadith):

Aye Adam k baty, Jb tk tum mujhy pukarty rho gy mangty rho gy, ma tumhy maff kr du ga jo tum ny kia, or ma bura nahi mnau ga. Aye Adam k baty Jb tumhary gunaah asman ki bulandio ko choo lain or tum Allah sy maghfirat mango Ma maaf kr du ga. Aye Adam k batay agr tum mary pass gunaho jo zameen k braber ho gain k sath aao gay Kya mara samna kr lo gye. Agr tum ny koi shirk na kia to ma tumhy maaf kr du ga.

  [At-Tirmidhi]

Or jan lo agr tum Allah ki trf aik qadam barhao gye, to Wo tumhari trf kai qadam barhye ga

Paighamber Hazrat Muhammad (ap pa or apki aal pa slamti ho) farmaty hai,

Mara Rub farmaty ha, agr mara banda mara qareeb aik hath ata ha, to ma us k qareeb aik hath ho jata hu; or agr wo aik hath qareeb ata ha to ma phailay huye bazuo k jitna qareeb ho jata hu

Or agr wo chalta hua mary qareeb ata ha, to ma Dorta hua us tk jata hu.’ ”

 [Al-Bukhari]

Ya Allah hai. Tumhara or mara khaliq. Aik sirf aik, jis ka koi shareek nahi maaf krany wala rehm krny wala.

Allah hr qism ki zarurat sy pak ha. Wo kafi ha. Un k lia kuch bhi namumkin nahi. Allah ko “Baty” ki zarurat nahi “Maaf” krny k lia “rehm” krny k lia apny banda pa . Unhy “zarurat” nahi

Wo maaf krny sy qasir nahi

Wo aram sy Apny bando pa rehm or unhy maaf kr skty hai

Lakin unho ny humain aik gehry, sanjeeda or khas maqsad k lia paida kia

Ya bhi prhain:

Islam ma Shahadat Kya ha?

Islam ma Shahadat ap ka dakhila ha Musalman hony k lia. Agr ap musalman hona chahty hai, ap ko sada si iman ki gawahi dani ha apni zuban sy.

Jb ap daty hai. Ap k mazi k tmam gunah maaf ho jaty hai.

Masla ya ha , agr ap dil k sunty hai or Allah sy muhabbat ha or us k aman pa, to ap isay apni zuban sy zarur khain gain

Bilkul isi trha Jaisay ap kisi ko muhabbat krty hai

Ya kafi nahi ap isay dil o dimagh ma rakhain, ap ko khna pray ga.

To hum shahdat dain gain jo iman ki gawahi ha.

*Arabi ma Shahadat:

Ash hadu an la ilaha illa Allah, wa ash hadu ana Muhammadan Rasoolu Allah

* Angrazi/ Hindi ma (Dosri zubanain):

     Ma gwahi data hun Allah k siwa koi ibadat k laiq nahi, Or ma gawahi data hu Hazrat Muhammad (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) Allah k Rasool hai.

Yha is ki recording hai ap dohra skty hai:

How to Say the Shahada & Embrace Islam

Watch this video on YouTube.

Islam k bary ma kaisay seekhain?

Yaha kuch ishary hai jo ap apko Islam k bary ma seekhny mai madad dain gain:

  1. Quran ko prahain or brahrast apny lia apnay khaliq k paigham ko janain.

Quran ka prhna ap ka safr asan kr day ga. Apny khaliq ki Kitab pa ap apny dil sy brahrast rojoo kr skty hai.

  • Islam k baray ma tarufi kitab hasil krain:

Aik kitab chunain jo islam k bunyadi aaaif k baray ma taruf day, Satoon, nmazain, ibadat, waghaira. Is bat ko yaqeeni bnaye kitab kisi amli muslaman ki likhi hui ho or mutnazia na ho. Mazeed, islam k bary ma prhny k lia koshish krain kitabain muatanad muftian karam k hatho likhi ho.

Masalun, khushio ka Kemia dan  Al – Ghazali ki kitab ha

Is ma btaya gya ha musalmano ko kaisay apni zindagi guzarni chahiya (Quran or ahadaith k mutabiq). Khushgawar zindagi guzarny k karamad rasty AsSi’idy ki likhi hui.

  • Islami ulama or islam k mutaliq website talash krain:

Bohat sari websites hai islam k mutaliq or Bohat sy ulama hai jo bakhushi ap ki madad k lia or swalo k jawab k lia tyar hai. Un sy madad lain Jb ap prashan ho.

  • Islami markaz ka dora krain:

Jain dora krian or Islam k mutaliq seekhain. Kisi musalman mulk ka dora krny sy bhi Bohat madadgar sabit hota ha.

  • Dosray muslamano sy milay:

Apny ilaqay ma masjid talash krian or nmaz k oqat ma waha jain.

Nateeja – Kya ap muslaman hona chahty hai?

Agr is isay mukhkish neyyat k sath jannay k lia prh rhay hai, such ko talash krain or qabool kr lain Sachai, or jan lejya ap pa karm ha or Allah ap ko daikh rha ha or ap ki koshisho ko srahta ha or ap k nazdeek ha or ap ki madad krain gain.

Allah Apna khas karm ap pa krain or dil ko sakoon ata krian.


Mazeed wasail:

* Islami aqeeday ma safr.

* Aik mukhtasir waziha rehnumai islam ko smjhny k lia.

Mazeed brahrast madad k lia, Hmaray logo sy rabta krain 24/7.

Ya tahreer darj zail zubano ma mojood ha:

English Français Españolрусский日本語Português中文Deutsch

Share
Pin It

Leave a Comment