Muslim banane ke lie aapaka sankshipt maargadarshak: a se z tak islaam apanaana 

Kya Ap Ny Kbi Socha Ha Muslaman Hona Kaisa Ha? Kya ap ny kbi is bary ma socha ha

Kya Ap Ny Kbi Socha Ha Muslaman Hona Kaisa Ha?

Kya ap ny kbi is bary ma socha ha k shuru ma islam qabool kia ja skta ha ya nahi?

Agr aisay swal ap k zehn ma aty hai to ya tahreer ap he k lia ha!

Hum yha Darj zail cheezain seekhain gain:

  • Kya koi musalman ho skta ha ?
  • Lafz “ Islam “ ka matlab 
  • Kya ha jo kisi ko musalman bnati ha ?
  • Muslaman kaisay hoty hai : 7 Mrahil 
  • Khuda ya Allah? -nam “Allah”
  • Islam qabool krna: Kalima Shahadat kb kha jata ha? 
  • Islam qabool krny k lia Kya khna prta ha? 
  • Wapis muslaman honay ka kya matlab ha?
  • Dobara muslaman kaisay hoty hai?
  • Musalman hony k bad Kya hota ha? 
  • Muslaman bnny k taqazay 
  • Or Kalima Shahadat khna Kya seekha jaye or Kya fori amal kia jaye?
  • Muslaman hony k faislay ko kbi mat mokhr krain?

Kya koi bhi Muslaman ho skta ha?

Sub sy pehly, ha! Koi bhi or sub Islam qabool kr skty hai or kisi bhi waqt muslaman ho skty hai. Wo kisi b mazhab ya smaj sy taluq rakhty ho.  Islam sub k lia, 

Yaqeen janain!

Zabardast! Ab, Muslaman hony k lia Kya krna pry ga?

Sirf chand cheezain, nahi krni , Lakin iman lana ha! 

Ya cheezain Islami aqeeday k un anokhy pehluo ka ihata krti hai jo isay munfarid bnata ha or aam fehm k sath hum aahung krta ha. 

Any wali satoor mai 

Hum inhy mukhtasir or waziha andaz ma makhsoos nuqto k sath smjhain gain.

Lafz “Islam“ ka matlab 

Aain pehly shuru krty hai

lafz “Islam“ k matlab sy 

Lafz “Islam“ k aik sy zaid matlab hai. 

“Islam“ aik Arabi lafz ha jo 3 waziha matalib k sath ha:

  • Aman. 
  • Hifazat.. khamio sy hifazat. 
  • Itaat krna .. sachy khuda ki itaat krna. Or ya bunyadi or markazi matlab ha islam ka.

Sachy khuda ki mukamal itaat. 

Zameen or Asman ka khaliq 

Us k ahkamat pa amal kr k or us ki mamnoaat sy ijtnab kr k.

Jb us k Rub ny us sy kha, “itaat  kro”, us ny kha0, “ma ny itaat qabool ki jo tmam jhano ka Malik ha”

[Quran 2:131] 

To agr wo tum sy behus krain, kho, ma ny Allah ki itaat qabool ki, or Mari pairwi krny walo ny bhi…”

[Quran 3 :20]

Wo Kya ha jo kisi ko musalman bnata ha?

Agr ap in aqaid ko aqal sy hum ahang patay hai, or ap k lia qabil fehm hai, to Phr ap taqreeban muslaman e hai ! 

Lakin thehria! Lakin ap Abi baqaida musalman nahi hai !

Ya bunyadi aqaid hai, jo kisi ko b qabool krna ho gain or in pa iman lana hoga islam qabool krny k lia or muslaman hony k lia. Ap Jb yha tk pohunch gaye hai to is ka matlab ha k ap apni zindagi ka sub sy ahm qadam uthany k lia tyar hai jo k ap ki sirf yahi zindagi nahi badalny wala Lakin zaruri tor pa ap ka mustaqbil or akhirat ki zindagi bhi badal day ga.

Muslaman kaisay hua jata ha: 7 marhalay

Muslaman hony k lia, or iman lany k lia Kalima Shahdat prhny sy pehly, ap ko kuch aqaid or qawaneen ko qabool krna pry ga Jin ki ap sy tawaqa ki jati ha:

1. Allah ki wahdaniat pa iman: Bunyadi Tasawur  

Islam ka bunyadi tasawur aik khuda pa iman ha. Aik khuda pa iman ka matlab ha k sirf aik khuda ha, Puri kainat ka khaliq zameen or asman ka khaliq or hr cheez ka paida krny wala. 

Wo khuda ha sirf aik sacha, Munfarid khuda

Sirf wo ibadat k laiq ha, bina kisi shareek k sirf aik Sacha Khuda ibadat k qabil , itaat k laiq, or usi ki farmabardari ha. 

Allah Bohat munfarid ha, Apny Namo It Kmalat Ma 

Us ki makhlooqat us sy bilkul mukhtalif hai 

Wo apni makhlooqat sy bilkul mukhtalif 

“Is k Jaisay koi nahi“ 

Jaisay k aik missal 

Usay kisi sathi ki zarurat nahi, 

Na BV na batay ki or yaqeenan 

Us ki koi BV or bata nahi!

Kho, ‘Wo Allah ha [jo ha] aik Allah, Abdi shara. 

Na us ny kisi ko jana na kisi ny usay paida kia 

Or us ka koi sani nahi.’

 [Quran 112-1:4]

2. Allah k bhaijay tmam Rasoolo or Paighambero Pa iman lana

Tmam Rasoolo or Paighambero pa iman lana Allah k Bhaijay huye 

Hazrat Adam sy lay kr Hazrat Muhammad (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) Jaisay 

Ibraheem, Nooh, Musa or Essa (Ap pa slamti ho) 

In sub ny sirf aik Allah ki ibadat ki taleem Di bina kisi shareek k 

Ya islam k bunyadi Tasawur ka dosra hissa ha 

Ya Allah ki wahdaniat k tasawur sy alehda nahi bl k is ka aik aam hissa ha.

3. 3. Hazrat Muhammad (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) Pa iman lana

Bilkhasoos, 

Hazrat Muhammad Ap Pa or apki aal pa slamti ho Pa iman lana k wo Allah k akhri Paighamber hai jo peechly tmam Paighambero k paigham ko mukamal krny k lia bhaijay gaye jis k sath un sub ko bhaija gya tha ya islam ka bunyadi tasawur ka teesra hissa ha jo bunyadi Tasawur wahdaniat ko mukamal krta ha 

Paighamber Hazrat Muhammad (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) akhri Paighamber hai jo Allah ki trf sy bhaijay gaye puri insaniat k lia 

Sirf un k apny logo k lia nahi Jaisay k peechly tmam Paighamber or Rasool jo sirf un ki qom k lia hoty thy 

Prhain: Kya Hazrat Muhammad (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) Allah k paighamber thy ? Ya us ny bnaya?!

4. Wahid tasdeeq shuda ilhami paigham (Quran) Pa iman ha

Hazrat Muhammad Ap Pa or apki aal pa slamti ho Pa nazil hona wala muqadas Quran akhri, tasdeeq shuda, wahid qabil amal ilhami paigham ha or tmam bani no insan k lia ha tmam logo k lia dunia k ikhtatam tk k lia ha kisi makhsoos jamat k lia nahi ha peechli paighamat ki trha 

Isi ny usi aik paigham ko mukamal kia ha jo Hazrat Adam (Ap Pa slamti ho) lay k aye apny logo or qom k lia jo aik Allah ki wahdaniat or sirf usi ki ibadat k mutaliq tha.

Mazrat k sath, ya ilmi tor pa sabit shuda haqeeqat ha k pehlay any wali kitabain Tariat or Zaboor ma tahreef ki ja chuki ha ya unhy badla ja chuka ha or aj un ki asli tehreero ko dhoondna mumkin nahi ha.

Isi lia Allah ny Apna akhri or mukamal paigham bhaija, Muqadas Quran, or isay is ki sahi halat ma aj tk mehfooz rakha bilkul sahi halat ma mehfooz or dunia bhar lakho logo ny zubani yad kr rakha ha 

Isi lia is kitab ka koi muqabla nahi or naqabil shikast ha or yahi islam k sacha honay ka naqabil tardeed saboot ha.

Prhain :

Asal imtehan katib e Quran k lia

5. Hazrat Essa (Ap Pa slamti ho) Pa iman

Islami aqeeday ka aik ahm hissa Hazrat Essa pa iman , bator insan or Allah k paighamber k tor pa ha 

Sirf aik insani Paighamber jo Allah k 5 behtreen nabio ma sy thy.

Hazrat Essa aik insan thy jin ki paidaish aik mojza thi 

Bilkul Adam ki takhleeq ki trha 

Jo kisi Mard ya orat sy paida nahi kia gaye baghair kisi Maa or baap k 

Or kisi ny kbi ya dawa nahi kia k wo khuda thy ya khuda k baity. Hazrat Essa Ap Pa slamti ho bhi bilkul isi trha sirf aik orat sy paida kia gaye bina kisi Mard k sirf aik Maa sy baighar kisi baap k 

Or unhy na qatal kia gya na sooli charhaya gya 

Allah ny unhy asmano ki trf utha lia.

To Hazrat Essa aik muqadas insan hai, aik Paighamber or Allah k Rasool, 

Or wo na hi Khuda thy na khuda k baty 

Wo sirf aik insan thy kisi qism k otar nahi.

6. Iman k mukhtalif hisso pa yaqeen rakhna

Islam ma, Iman k 6 satoon hai. Hum unhy “ Dil ka kam” kh skty hai. Jis ka matlab un Pa dil sy iman lana ha 

Iman k 6 satoon darj zail hai:

  1. Allah pa iman 
  2. Us k fariahton pa iman
  3. Ilhami kitabo pa iman
  4. Paighambero pa iman 
  5. Akhirat pa iman 
  6. Allah k tmam ahkamat ko manna khwah wo zahri faiday ma ho ya nuqsan ma.

7. Islam k satoono ko smjhna

Islam k 5 satoon hai 

Isi trha ap islam Pa amal krty hai or apni zindagi bator musalman islami tareeqay sy guzarty hai 

Dosry ilfaz ma ya wo amal ha jo Ap apni rozmarah zindagi ma bator muslaman k krty hai zindagi guzarny k lia 

Islam k 5 satoon ya hai:

  1. – 2 gawahian.. Iman ki gawahi ka Kalima prhna, jisay “shadat“ khty hai
  2. Namazain .. Namaz qaim krna or din ma 5 nmazain prhna 
  3.  Zakat.. Zakat ada krna        (Farz Sadqa)
  4. Roza .. Ramzan k muqadas maheeny k rozay rakhna 
  5.  Hajj .. Istataat k mutabiq Hajj krna

Khuda ya Allah? Name “Allah“

Agr ap ka iman ha Allah aik ha sirf sacha wahid munfarid khuda,… 

Oh oh sirf aik minute! Kya lafz “Allah“ or “khuda” ma koi farq ha

Yaqeen ha! Name “Allah arabi ka lafz ha jis ka matlab ha “Khuda”.

Allah he sacha khuda ha agr ap Bible ki arabi translation daikhain 

Ap ko us ma bhai lafz “Allah“ likha milay ga. 

Islam ka qabool krna: Kalima shahdat kb kha jata ha?

Ab, muslaman honay k lia, or Jb ap tmam aqeeedo pa dil ki gehraio sy yaqeen rakhty ho ap ko isay apni zuban sy bhi khna hota ha 

Ya un sub aqaid ko jinhy ap dil sy qabool krty hai zuban sy Iqrar krny ka mamla ha.

Lehaza musalman honay k lia 

Mazkoora Bala 7 mrahil ko qabool krnay k bad shahdat k ailaan ka waqt hua chahta ha.

Islam qabool krnay k lia Kya khna pry ga?

Dobara, musalman bnny k lia ahm shart iman ki gawahi dana ha jisay “Shahadat” khty hai isay arabi zuban ma or apni zuban ma b kha jata ha:

Hindee mein:

“Main gavaahee deta hoon ki allaah ke alaava koee bhagavaan nahin hai, aur main gavaahee deta hoon ki muhammad allaah ke doot hain, aur main gavaahee deta hoon ki yeeshu allaah aur usake doot ka sevak hai.”

 Arabi ma:

“Ash-hadu ann la ilaha illa Allah, wa-ash-hadu anna Muhammad rasool Allah, wa-ash-hadu anna Eisa abdu Allah wa-rasooluh.”

Ap isay Arabi ma sun skty hai or dohra skty hai sy bhi kam ki video.

Agr ap ny isay abi kha ha apni zuban sy apny dil ma is Pa iman rakhty hai 

To mubarak ho ap muslman ho chukay hai!

Ab ap bilkul aik naye paida honay waly bachy ki trha, Khalis, kisi gunah k baighar, 

Ha! Jb ap ny aik dfa shahdat prh lia, ap k peechly tmam gunah baray or chotay 

Tmam maaf kr dia gaye bilkul mita dia gaye!

To ap ko Apna naya janam mubarak ho! 

Allah ap k sachy deen pa sabit qadam rakhy or apki naikian qabool farmaye Ameen.

Waisay! Ap k paros ma masjid hona ya masjid pa apny islam ka ailaan krna bilkul zaruri nahi hai! Chahay ap k pass koi masjid na ho ya ap kisi or waja sy masjid na pohunch skain 

Is ka islam qabool krnay sy koi taluq nahi na hi muslaman hony sy 

Agr ap masjid pohunch skty ha to ya zabardast ha 

Agr ap nahi pohunch skty Phr bhi Ap islam qabool kr skty hai or muslaman bn skty hai masjid k baghair!  

Wapis Muslaman hony sy kya murad ha?

Is sy pehly k hum shuru krain k Shahadat khny k bad Kya hoga. Ma ap waziha krta chalu, Aziz Qarain,

Aik aam sa lafz jis k mani ap pehly bhi janty ho gain 

Wo lafz “Wapis Murna“ ha 

Musalman ka wapis murna Kya ha?

Wapis muslaman hona sy murad ha kisi b insan ka kisi bhi mazhab ya kisi b mazhab sy taluq na rakhny waly ka musalman hona ha 

Paighamber Hazrat Muhammad (Ap Pa or apki aal pa slamti ho) ki aik hadith ma farmaty hai tmam logo k lia bunyadi mayar ki halat byan ki ha:

“Hr bacha sachy islam k aqeeday k sath paida hota ha (Jaisay sirf aik Allah ki ibadat) or is walidain usay yahoodiat Essaiat ya Jadu ki trf tabdeel kr daty hai…”

(Sahih al-Bukhari).

To, Jaisay islam fitrat k mutabiq (aam fehm) mazhab ha is lia baz dfa “wapis murna” ka lafz istmal kia jata ha “tabdeel krnay“ ki jgah 

To Islam ma wapis murnay ka matlab fitrat k mazhab k trf wapsi ha. islam. 

To wapis Muslaman kaisay hua jaye?

Jaisay pehly waziha kia gya, muslaman hona, ya wapis islam ma ana, sirf aik he bunyadi shart ha:

Shahadat ko apni zuban sy ada krna jis cheez ka ap dil sy yaqeen rakhty hai ap iman ka chukay hai.

Muslaman honay k bad Kya hota ha?

Ab shadat khny or Islam qabool krny k bad. Ya aik pasandeeda amal ha k ap ghusal krain or apny kapry tabdeel kr k saaf kapry pehn lay nhanay k bad 

Or ya b kha jata ha 2 rakaat nafal nmaz ada kr kain

To in do kamo ko krna kbi na bhoolia ga Jb b moqa milay!

Muslaman hony or shahdat lany k taqazay

Shahadat k bary ma kamazkam ya btana zaruri ha:

  • Allah or us k paighamber k tareef krna or Allah or us k Paighambero ki itaat krna 
  •  Allah ki siwa maboodiat ka inkar krna 
  • Allah or usk Rasool k ilawa itaat ka inkar krna.

For tor ma amal shuru krny k lia Kya seekha chahiya?

Aik naye muslaman k tor pa 

Ap ko amal krny k 2 cheezain fori seekhny ki zarurat ha 

Nmaz or Islami aqeedah 

Ap ya Dono neechy Di gai web site sy seekh sakty hai:

New Muslim Guide: www.newmuslimguide.com

New Muslim Academy: www.newmuslimacademy.org

Or ap Quran ko sun or prh skty hai is site.

Muslaman hony k Faisala ma kbi dair na krain

Akhir ma, agr ap ny Abi tk qadam nahi uthaya ha, ap kis cheez ka intzar kr rhy hai 

Jb k ap mutmaeen ho chukay hai 

Isay fori tor pa krain 

Abi baghair kisi hichkachahat k or dair k. 

Kbi aisay faislay ma dair na krian jis sy apki ya zindagi or akhirat ki zindagi ka daromadar ho.

Ab ap Khalis toheed k mazay uthain or muslaman ho jaye. Ya ap kr chukay hai?

Islam Pa amal krnay ka lutf uthain or musalman hony ka 

Islam ma khushamdeed!

Abi shamil ho, Abi badlain, or or bach jaye.

Kisi b madad k lia hmary logo sy rabta krain.

अन्य उपयोगी संसाधन

Ya tahreer darj zail zubano ma Mojood ha:

English –  Deutsche – Español –  Português – Français – русский – Italiano

Share
Pin It

Leave a Comment